Agar mein bata don mein kia
Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho Mujhey koi kari si saza tou na do gay Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay Jo mein bata don meray mun main kia hay Tum jahan mein tamasha bana to na do gay Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay Tum hansi main baat ura to na do gay Agar mein bata don mein kia chahti hon Wafaon k badlay jafa to na do gay Aur mujh hi say daman chura to na lo gay
Comments
Post a Comment