Kisi ke kam na aaye wo

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai, Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai ! Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi, Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai ! Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan, WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai ! Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo, Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai ! Mauj masti ko honge dost hajaron lekin, Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai ! Kare Jo darj apana nam nahi safahon me, Makam jiska martaba na wo hasti kya hai ! Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho, Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!

Comments

Popular posts from this blog